Topics
Salam aleikum warahmat ullah ( salamti ho
tum par aur Allah ki rehmat ) ke alfaaz yeh saabit karte hain ke namazi ke sath
doosri marwai makhlooq bhi namaz mein shareek hai jis ko salam kya ja raha hai
.
Salam phertey waqt yeh tasawwur hona
chahiye ke hamaray sath jaanat aur firshton ne bhi namaz ada ki hai .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .