Topics

Hazrat Zain Alaabdin Ki Namaz

Hazrat zain alaabdin aik roz masjid mein namaz ada kar rahay they ke yakayak masjid ke chappar mein aag lag gayi aur aanan faanan bharak uthi. Lekin aap badastoor namaz mein masroof rahay. Yeh waqea dekh kar log jama ho gaye. Bohat shore machaya lekin aap ko khabar taq nah hui. Jab aap namaz se farigh hue aur bahar tashreef laaye to logon ne arz kya ke hazrat hum ne itni zor zor se aawazian den lekin aap ne parwah taq nah ki. Aap ne farmaya ke tum mujhe duniya ki aag se bachanay ki koshish kar rahay they magar mein is waqt kkhuda ke darbaar mein khara huwa tha.

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .