Topics
Jab hum wudu karne ke baad namaz ke liye kharray
hotay hain to pehlay hamara jism dheela hota hai lekin jab namaz ki niyat ke
liye haath uthatay hain to qudrati tor par jism mein tanao peda ho jata hai. Is
haalat mein aadmi ke oopar se safli jazbaat ka zor toot jata hai. Seedhay
kharray honay mein Umm al dimagh se roshniyan chal kar reerh ki haddi se hoti
hui poooray asaab mein phail jati hain. Yeh baat sab jantay hain ke jismani
sahet ke liye reerh ki haddi ko aik mumtaz maqam haasil hai aur umdah sahet ka
dar-o-madar reerh ki haddi ki lachak par hai . Namaz mein qiyam karna, ghutnon,
takhnon aur peeron se oopar pindliyon, panjoo aur haath ke joron ko quwwat
karta hai. Gathia ke dard ko khatam karta hai lekin shart yeh hai ke jism
seedha rahay aur tangon mein khham waqay nah ho .
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah
Erehman Er Rahim
رَبِّ
اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ
Ae mere parvardigaar !
Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .
اَلصَّلٰوۃُ
مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ
Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai
Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz
ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano
ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah
taala ka Urfan haasil ho jata hai .