Topics
Jigar
qudrat ka banaya ho aayk ajooba hai jis mein laakh qisam ki barqi ro her waqt daurti rehti hai. Yeh apni saakht mein itna mazboot
hota hai ke agar es ki kharabian shuru ho jaien to kam se kam pandrah saal mein
usay be car karti hain.
Is mein aur zakheeron ke ilawa folaad, aur glycogen ( mithaas ) ka bara
zakheera hota hai. Darasal glycogen hi jism ki sab se barri qowat hai. es ke
andar se jo barqi ro guzarti hai woh zayed aur baikar khalion ko allag kar kay
khoon mein sayhat mand khaliye shaamil kardeti hai. Jigar ke andar kabhi ulsar
bhi ho jata hai. es ka sabab yeh hai ke ghair sahet mand khalion ki tadaad
lakhoon gani ziyada ho jati hai. Aur es ka enhisaar giza per hai. Agar giza bar
bar aur ziyada miqdar mein khayi jaye to maida mein es ka qiwaam sahih nahi
bantaa jis se aahista aahista jigar mutasir hota rehta hai aur kharab ho jata
hai. Jigar ka talluq barah e raast maida aur anton se hai. En anton mein qudrat
ka aik khaas purzah laga hua hai jis ko “lablaba” kehte hain aur isi ke oopar
tamam jism ko sahet mand rakehnay ki zimmadaari hai. Yeh hasbe zaroorat ansolin
( insulin ) banata hai aur jigar ko deta hai aur ansolin ki kami se zyabitis jati
hai hai jis ka tamam asaab per asar parta hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-