Topics
Kaan
ka dard, kaan ka behna, kam sunai dena, un tamam takaleef mein aasmani rang ki
khorakin aur shoa’ain bohat mufeed hain, Agar kan mein dana hoya soojan ho to niilii
shua daalna aur neelay rang ke pani ki bohat halki pichkari soodmand hai. Agar kam
sunai dainay ke sath sath kaanon mein ghair haqeeqi aawazian gunjti hon to es
ke liye qabz ko rafa karna, peiron ko garam rakhna, sotay waqt peiron ko
thanday pani se dhona aur sar par niilii shua daalna mufeed hai. Aasmani rang
ki shu-aon mein tayyar kya hua sarson ka tail bhi kaam mein laya ja sakta hai. Yeh
baat yaad rakhen ke kaan mein tail hamesha halka neem garam daalna chahiye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-