Topics
Sawal yeh peda hota hai ke kirnoon mein yeh halqay kaisay parre?
hamein yeh to ilm hai ke hamaray khekashani nizaam mein bohat se star yani
Sooraj hain. woh kahin nah kahin se roshni laatay hain. un ka darmiyani faasla
kam se kam paanch noori saal bataya jata hai. Jahan unki roshniyan aapas mein
takratI hain, woh roshniyan chunkay qismon par mushtamil hain es liye halqay
bana deti hain. Jaisay hamari zameen ya aur sayarey. Eska matlab yeh hua ke
Sooraj se ya kisi aur star se jin ki tadaad hamaray khekashani nizaam mein do
kharab batayi jati hai. un ki roshniyan snkhon ki taadad pr mushtamil
hain aur jahan un ka takrao hota hai wahein aik halqa ban jata hai jisay
sayarah kehte hain.
Ab fotan mein space peda hojata he aur space ke chhootey se
chhootey zarray ko eliktran kehte hain jahan fotan aur eliktran dono takrate
hain wahein se nigah rang deykhna shuru kar deti hai. Rang kiya hai? kyun hai?
nigah kiya hai? kyun hai? nigah ki taizi kiya hai aur kyun hai es se hamein
behas nahi.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-