Topics
Mere
dost ka aik aseel murgh aik so char bukhaar mein mubtala ho aaur sabz rang ki bat karne laga. Khana piinaa
chore diya, zameen mein gardan daaley khara rehta tha. Dost ne bataya ke mere
tamam murgh is bemari mein mar jatay hain. Mein bukhaar ke liye aasmani rang IX
ki taaqat mein aur zard rang pani IX ki taaqat mein do do ghantey ke waqfa se
baari baari dainay ki hadaayat ki dosray din murgh ki susti to daur hogayi.
Lekin bukhar aur ishaal mein koi farq nah para. Phir mein ne sirf neelay rang
ki IX ka pani do do ghanta bad diya jis se bukhar bilkul utar gaya lekin bhook
nahi khuli. Ab mein ne sirf zard rang ki IX taqat ki chand khorakin den jin se
murgh ko khal kar barray barray dast aeye aur oh poori terhan tandrost hokar
bangh dainay laga. Dost ne herani ka izhaar karte hue kaha kay mera koi murgh
is terhan tandrost nahi howa. Ittafaq se mera apna murgh bhi bemaar hogyaaur is ko qabz hogaya. Usay mein ne peelay rang ka
pani diya. Es se is ko dast anay lagey aur dochar dast anay ke baad is ki susti
daur hogayi aur bhook bhi khil gayi. Lekin is ka jism barf ki taraf thanda
hogaya. Yeh tashweesh-naak haalat thi. Mein ghabra gaya. Phir khayaal aaya ke
khwaja sahib ne surkh rang ke liye likha tha ke yeh bara bhaari muharrak hai
aur jism ko garam karta hai. Mein ne surkh rang ke pani ke aik khoraak murgh ko
pilayi aur oh pani minute mein garam ho gyaaur is ki sahet bahaal hogayi .
Hamsaaya mein aik aurat ka moonh pakka hua tha. Mun mein itnay chhalay
they ke kuch kha pi nahi sakti thi. Is ko aasmani rang ka pani aik glass pani
mein chand qatray daal kar diya gaya. Char roz mein aisi hogayi jaisay usay koi
takleef thi hi nahi.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-