Topics

Bab-e Doyum Roshiniyon Ki Kammi Aur Zayad’ati Se Paida Hone Walay Amraaz-(Mirgi Ka Doura)

Jab khalion mein barqi ro ka tasarruf hota hai aur yeh ro ki shakal ikhtiyar kar ke aik dosray se takrata haito es takrao se be shumaar rang bantay hain. Un rangon ka naam hum veham ya khayaal bhi rakh satke hain aur haqeeqatan yeh tamam kaifiyat jo hamaray dimagh mein warid hoti hain inhee rangon ko tanawu hai. Yeh tanawu kabhi apni hado se bahar niklana chahta hai. Lekin bahar nikalney  ka koi nah koi rasta agar esey miley jabhi yeh mumkin hai ke bahar nikal sakay. Hota yeh hai ke ittafaq se umm al dimagh ke andar bohat si ro jama ho jati hain aur jama ho ke aik dosray ka rasta rok deti hain woh darwazay jo bahar le jany ya andar laane ka kaam karte hain un sab mein itna hajhoom ho jata hai ke bahar anay ya andar jany mein rukawat paida hone lagti hai. Agar aisi haalat mein pani samnay aajay to band ro ki shu’ayen kayi gunna ho jati hain. Jis se mirgi ka dora parta hai. Neez es waqt taq jab taq anay jany walay darwazon ka hajhoom mamool se ziyada rahay ga. Mirgi ka dora aadmi ko bay hosh rakhay ga. Jis waqt woh darwazay khulna shuru hon ge, mareez ko hosh aajay ga. Chunkay asaab tamam maflooj ho chukay hain es liye harkat bhi der mein hogi. Aahista aahista mareez apni haalat par aeye ga. Pani par nazar parney ke ilawa aur bohat se halaat aisay ho saktay hain jis se mirgi ka dora par jaye lekin aisi haalat mein jald se jald darwazon se barqi ro ka hajhoom kam hona chahiye. Agar deir taq yeh haalat baqi rahay to mareez khatray mein par jata hai ( mareez ke girnay ki wajah yeh hoti hai ke dimagh ki ro asaab par kaam karna chor deti hai) es ka bohat asaan tareeqa yeh hai ke sir ko zameen se haath par utha liya jaye magar sirf aik inch es se ziyada nahi. Do teen martaba sar ko halki junbish se hilaya jaye. Dora khatam hojaye ga. Taham aankhon ki putliyoun ki nigrani kuch der taq karen taakay woh khaliye jo Hafza se mutaliq hain, dekhnay walay ki nigahon se takrayen. es se darwazon mein hajhoom ki ro taizi se kam hojaye gi.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-