Topics
Mukhtalif kitabein jo pehley iss mazboon per likhi jaa chuki hein.
Mein in ki chaan been ki. Iskey ilawah apney zehn sy izafey kiye. Phir in
izafoon ka aur iss chaan been tajziyah kia. Yeh tu mein nahi keh sakta ke
mareezon ko 100% faida hee faida hua lekin itna zaroor hai ke agar iss kitaab
mein likhey huwe ilaaj ke mutabiq amal kia jaye to 99% hoga. Sab sy bari baat
yeh hai ke ilaaj muft barabar hai. Asaan hai aur koi pabandi ya kisi qism ka
qabil-e-zikr perhezaan ilaajon mein nahi kia jaata aur yeh ilaaj har ghar mein
jo paani istemaal hota hai issi paani sy hota hai. Farq itna hai key eh chand
qism ki roshniyaan paani mein sarayat kr jaati hai. Jab yeh paami istemaal hota
hai to maa’adah iss ko check nahi krta balky barah-e-raast yeh paani khoon mein
aur iesaab mein shamil hojata hai. Yeh iski bohot bari khososiat hai jo duniya
ki kisi dawa mein nahi hai. Aap iss baat se andaaza laga sakte hein ke insaani
jism ke andr ye paani kia taameer kr sakta hai.
Doosri Khusoosiyat yeh hai key eh pani Khoon ke under dooor karta
hai jaisey aam pani duar karta hai, Yeh khusoosiyat bhi duniya ki kisi dawa
mein nahin hai.
Teesri Sub se bari e ski ehmiyat yeh hai ke pani jis waqt khoon ke
ander gardish karta hai us waqt raggon, nason aur gosht post ke under us ka
rang aur uski roshniyan tehleel ho jati hain aura am pani jo baqi raha wo
kharij ho jata. Paseeney ke zariye ya bol baraz ke zariye.
Duniya ki her dawa apna asar chorti hai aur apna asar chor kar
kharij ho jati hai. Rang aru roshni ki tarhan aasaab mein pewast nahin hoti yeh
esee elaj ki eik eham khusoosiyat hai.
Rang aur roshni sey tayaar shudaa pani ki eik khaasiyat yeh bhi hai
ke rang aur roshni se jo pani alag hota hai wo pani aasaab ko, raggon ko, dil
aur dimagh ko aur khoon ke zaraat ko, sub ko dho dalta hai aur jitney zehreeley
maadey hotey hain enhein apney saath ley jata hai jo khaarij ho jaatey hain.
Kitaaab “rang aur roshni se elaajL ki pehli isha’at haaton haath
nikal gayee aur doosri isha’at ke mutalibat kaseer taadad mein mosool hotey
rahey hain. Mojooda isha’at mein kuch izaafa kiya hai aur wo insaani zindagi
pathron ke asraat se mutaliq hai. Ab yeh kitab zyada faidemand ho gayee hai.
Allah taala eskitab ko aur zyada qabooliyat ataa karein aur log essey istafada
karein.
Aameen Summa Aameen
Khwaja Shamsuddin Azeemi
March 1978
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-