Topics

Maa Ke Doodh Mein Kami

Mufeed Ghizayein:


Maghaz binola nisf tola medah ki terhan bareek pees kar sufoof ko dairh pao doodh mein mila kar es ki kheer pakka kar rozana istemaal karna doodh ki zayad-ti ke liye azbas mufeed o mujrib hai.


Agar pastanoo ki nashonuma poooray tor par nah hui hoto aisi aurton ko kheeri bhoon kar khana chahiye. Zeera safaid bhon kar ( magar julne nah paye ) es ka sufoof karkay aik table supoon ke barabar zacha ko rozana khilain jis terhan woh kha sakay yani sufoof khakar oopar se doodh pi le, pani pi le ya sufoof ko daal sabzi ya gosht mein oopar se mila kar khale, es ke ilawa gaaye ka doodh shehad mila kar, gaajar yn, kharboza aur kharboozey ke beej pees kar istemaal karna aur tilon ka khana bhi doodh ki zayad-dti ka baais hota hai.


Muzir Ghizayein:


Masoor ki daal, garam o khushk ashya aur garam masalha se parhaiz.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-