Topics
Aik
khandan mein naaqis ya zehreela banaspati ghee khanay se ghar ke tamam afraad,
ghee khatay hi shadeed matli, qay, mun se jhaag, jism barf ki terhan thanda
honay ki takleef mein mubtala hogaye. Jin mein se aik ke siwa tamam afraad fori
tbbi imdaad milnay ki wajah se bach gay .
Lekin aik larka jis ki Umar 18 saal thi,
fori tibbi imdaad se bach to gaya. Magar is ka jism batadreej sun hota chala
gaya. Mun se bohat barri miqdaar mein jhaag dar luaab ka behna bhi band nahi
howa. Har taraf se mayoosi ke baad usko mere paas laya gaya. Haalat waqai qabil
reham thi. Mein ne allah ka naam le kar surkh rang ka pani aur zard rang ka
pani pandrah pandrah minute baad dena shuru kya. Adhay ghantay baad dil ki
haalat mein numaya farq tha. Aik ghanta ke baad jism garam hogaya. Faalij ki
kefiyat jati rahi aur do ghantey ke baad mun se jhaag dar luaab aana band
hogaya. Ab woh larka bilkul theek hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-