Topics

Aasmani rang kya hai ?

Aasmani rang fil haqeeqat koi rang nahi balkay woh un kirnoon ka majmoa hai jo sitaron se aati hain. Jisa ke pehlay arz kya ja chuka hai ke kahin bhi en sitaron ka faasla paanch noori saal se kam nahin hai. Aik kiran aik laakh cheyasi hazaar do so bayasi meel fi second ki raftaar se safar karti hai. Esterhan noori saal ka hisaab lagaya jaskta hai.


Her sirarey ki roshni safar karti hai aur safar karne ke douran aik dosray se takrata hai un mein aik kiran ka kya naam rakha jaye yeh ensaan ke bas ki baat nahi hai. Naa ensaan kiran ke rang ko aankhon mein jazb kar sakta hai. Yeh kiranen mil jul ke jo rang banati hain woh tareek hota hai aur es tarike ko nigah aasmani mehsoos karti hai ensaan ke sir mein es ki fiza sarayat kar jati hai. Nateejay mein woh la taadad khaliye jo ensaan ke sir mein mojood hain es fiza se maamoor ho jatay hain aur yahan taq maamoor hotay hain ke en khalion mein makhsoos kaifiyat ke ilawa koi kefiyat sama nahi sakti. Ya to har khaliye ki aik kefiyat hoti hai ya kayi khalion mein mumasilat payee jati hai aur en ki wajah se aik dosray ki kaifiyat shaamil ho jati hain lekin yeh es terhan ki shamooliat nahi hoti ke bilkul madgham hojaye balkay apne apne asraat le kar ghalat malt ho jati hai aur es terhan dimagh ke la tadaad khaliye aik dosray mein pevost ho jatay hain aur yahan taq pyost hotay hain ke hum kisi khaliye ka amal ya rad e amal aik dosray se allag nahi kar satke balkay woh mil jul kar veham ki soorat ikhtiyar kar laite hain. Agar yeh kaha jaye ke ensaan tuahmati janwar hai to be jaa nahi hoga. Khalion ki yeh fiza tohmat kehla sakti hai. Ya khayalat ya mehsosaat. Yeh tuhmati fiza dimaghi reshon mein sarayat kar jati hai, aisay raishay jo bareek tareen hain.


Khoon ki gardish-e raftaar en mein taiz tar hoti hai. Esi gardish-e raftaar ka naam ensaan hai. khoo noon ki noiyat ab taq jo kuch samjhi gayi hai fi al waqea es se kaafi hadd taq mukhtalif hai.


Aasmani fiza se jo tasrat dimagh ke oopar muratab hotay hain woh aik bahao ki shakal ikhtiyar kar lete hain aur haqeeqat mein en ko tauhmat ya khayalat ke siwa aur koi naam nahi diya ja sakta. Jab aasmani rang ki fiza khoon ki roeben jati hai to es ke andar woh halqay kaam karte hain jo doosrey sitaron se aeye hain woh halqay chhootey se chhootey hotay hain, es qader chotey ke dooorbeen bhi inhen nahi dekh sakti lekin un ke tasrat amal ki soorat ikhtiyar kar letay hain. Insaan ke asaab mein wohi harkaat bantay hain aur unhi ki zayad’dtiya kammi aasabi nizaam mein khalal paida karti.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-