Topics

Damma (Asthma)

Doray ke waqt naranji rang ka pani das das minute ke baad aik aik tola aik ghanta taq den. Aur kuchh arsa taq naranji rang ki shu’aon se tayyar kya howa alsi ka tail seenay par pehphron ki jagah dairon mein raat ko sotay waqt aur sbh paanch paanch minute halkay haath se maalish karen. Asthma ke mareez ko jab dora nah ho tab bhi aik aik oons naranji rang ka pani chand roz taq dena chahiye. es se khana bhi hazem hoga aur  mareez ki zael shuda qowat bhi bahaal ho jaye gi. Asthma ke un mareezon ko jin mein surkh rang ki kami hoti hai neelay rang ke pani aur neelay rang ke tail se araam aata hai.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-