Topics

Do Peiron Aur Chaar Peiron Se Chalne Walay Janwar

Janwar do hain. aik janwar chaar peiron se chalne wala hai aur dosra do peiron se chalne vala he. Urrnay wala janwar aur tairnay wala janwar bhi chaar peiron se chalne wala janwaron mein shaamil hain. Esliye ke woh pr bhi istemaal karta hai aur peir bhi. Neez es ke urrnay ki soorat bhi wohi hoti hai jo chaar peIron se chalne walay janwar ki hoti hai. Do peiron se chalne wala janwar aadmi hai.


Chaar peiron se chalne wala janwar, urrnay wala janwar, tairnay wala janwar aasmani rang ko tamam jism mein yaksaa qubool karte hain. Esi wajah se aam tour par un mein jibillat kaam karti hai, fikar kaam nahi karti ya ziyada se ziyada inhen sikhaya jata hai. Lekin woh bhi fikar ke dairay mein nahi aata. jin cheezon ki inhen apni zindagi mein zaroorat padtee hai sirf un cheezon ko qubool karte hain, un mein ziyada ghair zurori cheezon se yeh vaastaa nahi rakhtay, jin cheezon ki inhen zaroorat hoti hai un ka talluq ziyada tar aasmani rang ki lehron se hota hai.


Do peiron se chalne wala janwar yani aadmi sab se pehlay aasmani rang ka makhloot yani bohat se miley hue rangon ko apne balon aur sir main qubool karta hai aur es rang ka makhloot pevost hota rehta he. Yahan taq ke jitne khayalat, kaifiyat aur mehsosaat waghera es rang ke makhloot se es ke dimagh ko mutasir karte hain woh itna hi mutasir hota he.


Dimagh mein khrbon khaaney hotay hain aur un mein se barqi ro guzarti rehti hai, esi barqi ro kay zariye khayalat, shaoor aur tehat al shaoor se guzarte rehtay hain aur es se bohat ziyada la shaoor main.


Dimagh ka aik khaanah woh hai jis mein barqi ro foto laytee rehti hai aur taqseem karti rehti hai, yeh foto bohat hi ziyada tareek hota hai ya bohat hi ziyada chamakdar.


Aik dosra khaanah hai jis mein kuch eham baatein rehti hain lekin woh itni eham nahi hoteen ke saalhasal guzarnay ke baad bhi yaad ajayeen, aik teesra khaanah es se ziyada eham baton ko jazb kar leta hai. Woh bashrt mauqa kabhi kabhi yaad aa jati hain. Aik choutha khanah maloomat ( routine chores) kaa he. Jis ke zareya aadmi amal karta hai. Lekin es mein iradah shaamil nahi hota, paanchawan khanah woh hai jis mein guzri hui baatein achanak yaad ajati hain jin ka zindagi ke aapas ke tar o pod se koi talluq nahi hota. Mansha yeh hai ke aik baat yaad aayi, doosri baat sath hi aisi yaad aayi jis se pehli baat ka kabhi koi talluq nahi tha. Aik chata khana aisa hai jis ki ya to koi baat yaad nahi aati aur agar yaad aati hai to foran eske sath hi amal hota hai. Eski misaal yeh hai kisi parinday ka khayaal aaya, khayaal atay hi amalan wo parindah samnay hai, satwaan khanah aur hai jis ko aam istilaah mein Hafza ( memory ) kehte hain.


Dimagh mein makhloot aasmani rang anay se aur pewast honay se khayalat, kaifiyat, mehsosaat waghera barabar bdalty rehtay hain. es ki noiyat yeh hoti hai ke es rang ke saaye halkay bhaari yani terhan terhan ke apna assar kam o baish pida krte hain aur foran apni jagah chore dete hain taakay dosray saaye un ki jagah le saken, Bohat se saaye jinhon ne jagah chor di hai mehsosaat ban jatay hain es liye ke woh gehray hotay hain. Un ke ilawa bohat se khayalat ki soorten muntashir ho jati hain. Rafta rafta ensaan un khayalat ko milana seekh laita hai woh amal ban jatay hain. Yeh saaye esi terhan kaam karte rehtay hain, unhi saayon ke zariye ensaan ranj o rahat haasil karta hai. kabhi woh ranjida aur bohat ranjida ho jata hai. Kabhi woh khush aur bohat khush hojata hai. Yeh saaye jis qader jism se kharij ho satke hain ho jatay hain lekin jitne jism ke andar pevost ho jatay hain woh aasabi nizaam ban jatay hain.


 Aadmi do peir se chlta hai esliye sab se pehlay un saayon ka assar eska dimagh qubool karta hai. Dimagh ki chand harkaat Moayen hain jin se woh aasabi nizaam mein kaam lita hai. Sir ka pichla hissa yani umm al dimagh aur haram maghaz esaasabi nizaam mein khaas kaam karta hai. Ranj o khushi dono se aasabi nizaam mutasir hota hai. Ranj o khusi darasal bijli ki aik ro hai jo dimagh se daakhil ho kar tamam asaab mein sama jati hai. Yeh lehrein do peiron se chalne walay janwar ke dimagh mein daakhil hoti hain. En lehron ka wazan, tajzia, fiza, har jagah bilkul yaksaan nahi hota balkay jagah jagah taqseem hota aur es taqseem kar mein woh lehron ke kuch saaye ziyada jazb karta hai aur kuch saaye kam. ensaan ke dimagh mein La shumar ( cells ) bhi kaam karte hain. Yeh zurori nahi hai ke en La shumar khaliyon mein saaye ki laharen jo fiza se banti hain woh apne asraat ko barqarar rakhen, kabhi en ke asraat bohat kam reh jatay hain, kabhi un ke asraat bilkul nahi rehtay lekin yeh wazeh rahay ke yeh tamam khaliye jo dimagh se talluq rakhtay hain kisi waqt khaali nahi rehtay, kabhi en ka rukh hawa ki taraf ziyada hota hai kabhi pani ki taraf, kabhi giza ki taraf aur kbhi tanha roshni ki taraf, esi roshni se rang rangon aur ki milawati shakalain banti hain aur kharch hoti rehti hain.


Chehra Mein Film


Aagr insan damaagh se kaam le to chehra par terhan terhan ke rang nazar atay hain. En rangon mein sab se ziyada numaya aankhon ka rang aur hawas ki ro hoti hai. Agar chay ankhen bhi hawaas mein shaamil hain lekin yeh en cheezon ka jo bahar se dekhatii hain ziyada assar qubool karti hain. Bohat se bahar ke aks aankhon ke zareya androoni dimagh ko mutasir karte hain. Eski shakal yeh hoti hai ke hawaas taaza ho jatay hain ya afsurdah ho jatay hain. Kamzor ho jatay hain ya taaqat war. Unhi baton par dimagh ka inhisaar hai. Rafta rafta yahi dimagh ka kam asaab mein sarayat kar jata hai. Jo sahih bhi kaam karta hai aur ghalat bhi.

 

Dimaghi lehron se chehra par itnay ziyada asraat aajate hain ke en sab ka parhna mushkil hai phir bhi aik film chehra mein chalti rehti hai jo asaab mein muntaqil honay walay tasrat ka pata deti hai.


Jaissa ke zikar kya gaya rangon ki tadaad bohat hai aur un ki ifadiyat bohat ziyada hai.


 

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-