Spiritual Healing
Surah Rehman Mein Allah Talah Ka Irshad Hai : “Chalaye Do Darya Mil
Kar Chalne Walay, Un Dono Mein Aik Parda Hai Ke Aik Dosray Par Zayad-dti Nah
Kere. Phir Kya Kya Naematain Apne Rab Ki Jhutlao gay, Nikalta Hai Un Dono Mein
Se Moti aur moongey.”
Allah Talah Ne Yeh Tazkara Nahi Kya Ke Moti aur moongey Ke
Rang Mukhtalif Hotay Hain Aur Khasiatein Bhi Mukhtalif Hoti Hain. Mukhtalif
Rang Rakhtay Hain. Lekin Yeh Aik Rang Ka Pani Se Bilkul Nahi Milta. Allah Talah
Ne Is Baat Ko Asaas Qarar Diya Hai. Is Ke Baad Moti aur Marjan Ka Tazkara Kya
Hai, maqsad yeh Hai Ke Rangon Mein Tasurat Hain. Yeh Usool Bunyadi Hai. Chahay
Woh Pani Mein Ho. Sheesha Mein Ho. Matti, pathar ya Dhaat Mein Ho .
Yahan Hamein Yeh batan maqsood hai Ke Asraat Rangon Mein Hotay Hain Aur Jahan Taq
Angothi Mein Pathar Ya Nagina Pahannay Ka Talluq Hai, Mamooli Nagina Bhi Apne
Rang Ki Binaa Par Wohi Khasusiyat Rakhta hai Jo Qeemti Pathar rakhta hai.
Ab Hum nageenon aur pathar Ke Rang Aur Un Ki
Khasiatein Bayan Karte Hain. Agar Aap Unhi Rangon Ko Pathar Vn Mein Talaash
Karen Ge To Bhi Mil Jayen Ge. Yeh Allag Baat Hai Ke Pathar Qeemti Hai aur
nageena Qeemat Ke Lehaaz Se Har Aadmi Ki Dustarus Mein Hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-