Spiritual Healing
Neelam
nihayat saaf aur shafaaf rang ka hota hai. Bohat khobsorat aur chamakdar neelay
rang ka pathar hota hai. Is ki behtareen qisam srilanka mein millti hai. Baaz
hazraat surkhi mael neelam ko laal , sabzi mael neelam ko zabar judda aur
banafshee neelam ko sangmaro kehtey hain.Yeh nihayat khatarnaak pathar hai. Is
ka pahannay wala qatal bhi ho jata hai aur bhkari ban jata hai. Lekin is ke bar
khilaaf yeh bhi dekha gaya hai ke is ka pahannay wala nihayat moaziz aur dolatmand
ho jata hai .
Surkhi mael neelam mein roshni ki laharen hoti hain aur woh nazar bhi aati
hain. Yeh neelam khatar naak hota is ko nahi pehan’na chahiye.
Jis neelam ko zabar jadd kehte hain aur iss mein sabzi ke shade hotay hain woh
neelam baais barket hai. Is ke pahannay walay ko allah izat daita hai aur ghaib
se is ki madad hoti hai. Es liye is shakhs ke ird gird doulat jama hojati hai.
Is neelam ko pahannay wala dard gird hay aur ki pathri se mehfooz rhtahe. Arq
alnisaa se agar mutasir hai to is ka assar ho jata hai.
Agar reerh ki haddi koi kamzoree hai to woh rafa hojati hai aur sath sath
masana ko qowat ditahe. Is ka pahannay wala aadhi seesi ke dard mein mubtala
nahi hota.
Banafshi neelam, jis ko sang mrw kehte hain aur js mein banafshi rang ka shade
hota hai woh bhi bohat khatarnaak hai. Aadmi ko beemar aur buhkari bana daita hai.
Gardan ke amraaz peda karta hai. Faalij ka baais bntahe. Aksar aisay aadmi ki
jis ne yeh pathar pehna ho tangen maari jati hain. Es se dorhi rehna chahiye.
Zabarjad ke rang ka koi nagina bhi unhi fawaid ka haamil hai jin ka haamil khud
zabarjad hota hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-