Topics
Insani baradri ke liye umooman aur bilkhushoos aurat ke haq mein
Rasool (s.a.w) ne mard aur aurat ke haqooq mein aisa tawazun
peda kar diya hai ke kisi aik ka haq kisi dosray par ghalib nahi aata.
Rasool (s.a.w) ne aurat ki izzat ko bahaal kya. Is ke waqar
ko ujagar kya. Aap (s.a.w) ne mardon ko un umoor se mana farmaya jo aurton ke
haq mein zulm o zayad-ti ke mutradif thay. Aap (s.a.w) ali al-elaan mardon ke
muqablay mein aurton ko un mara-aat se nawaazte thay jin ki woh mustahiq hain.
Aap (s.a.w) amli tor par aurton ki izzat farmatay thay. Sab se pehlay Aap
(s.a.w) ne maa ke rishte se aurat ko muta-arif karaya. Aap (s.a.w) ne farmaya :
*' ' tumhari jannat tumhari maa ke qadmon ke neechay hai.' '
*' ' maa ki nafarmani par jannat haraam kar di gayi hai.' '
*' ' woh shakhs bara budqismat hai jis ki maa zindah ho aur woh is
ki khidmat nah kar ke jannat se mahroom ho jaye.' '