Topics
Bewa aurat ibadat ke sath sath marhoom shohar ki taraf se bhi
mazhabi rasomaat ada karne ki paband thi. Mazhabi danishwaron ney usay yaqeen
dila diya tha ke doosri duniya mein is ki shadi marnay walay shohar ke sath ho
jaye gi. Bewa aurat ke liye khandani tehwaron mein shirkat mamnoo thi. Yeh
tasawwur kya jata tha ke bewgi tamam hazreen ke liye badbakhti ka pegham ban
sakti hai. Bewa aurat maikay mein nahi reh sakti thi saari zindagi usay sasural
mein rehna parta tha. Ghar ke mulazmeen bhi usay hiqarat se dekhte they.