Topics
Hazrat Aisha Sadiqa nikah ki un sooraton kubian kar ke farmaati
hain ke un tamam najaaiz sooraton ko in Hazart (s.a.w) ne khatam farma diya.
Aap (s.a.w) ki aamad se zulmat ki tarikhiyan chaatt gayeen.
Muzloomon ko sir uthany ka mauqa mila. Afraat o tfrit khatam hui. Haqdaar ko is
ka jaaiz haq mila. Jor o sitam ki chkyon mein basinee wali aurat ko islam ne
apne daman aafiat o himayat mein sameta. Aurat ke taqaddus ki bahaali mein kisi
qisam ki chasham poshi nahi ki gayi. Badkaari aur be aabrui ke jitne bhi rastay
they aik aik kar ke khatam kar diye gay. Niswani haqooq ke silsilay mein quran
ne pehla mahswara diya.