Topics
Quran mein jahan aik se zayed shadion ki ijazat di gayi hai. Dar
haqeeqat usay yatamee ke sath mashroot kya gaya hai. Is ki wajah yeh hai ke jin
bachiyon ke walidain zindah salamat hon un ke liye un ki shadi karna koi
mushkil nahi hota lekin jin bachiyon ke walidain mojood nah hon ya jo aurtain
bewa ho gayi hon un ki shadion mein mushkilaat paish aati hain.
Is liye islam ne be sahara aurton ko muashray mein maqam dilanay ke
liye aik se ziyada shadian karne ki ijazat di hai. Baaz auqaat kayi dosray
waqeat bhi paish aa satke hain maslan jung mein mardon ki ziyada tadaad shaheed
ho jaye aur muashray mein aurton ki tadaad ziyada ho jaye to inhen bhi saharay
ki zaroorat hoti hai.
Gharz islam ne aurat ko tahaffuz dainay ke liye har mard ko doosri
shadi ka haq nahi diya. Lekin jin ko haq diya hai un ke liye shart hai ke mard
aik se zayed biwion ka nan nfqh ba aasani poora kere aur Allah Taala ne mard ko biwion ke darmain insaaf karne par
paband kya hai. Rasool Akram (s.a.w) ka
irshad hai' ' jis shakhs ki do biwiyan hon aur woh inhen insaaf faraham nah
kere aur kisi aik biwi ki taraf mael ho jaye to qayamat ke din is ka hashar is
haal mein ho ga ke is ka aadha dhar maflooj ho ga.