Topics
Hazrat Uumm Warqa Ansari ne hijrat nabwi ke baad syedna huzoor
alaihi salatoh vasalam se taleem quran aur ehkamaat deen ka ilm seekha. Baad
azan huzoor alaihi salatoh vasalam ne umm warqa ko deen ki ashaat aur dars
quran ki ijazat marhamat farmai. Syedna Huzoor alaihi salatoh vasalam ne umm warqa
ko imamat ki ijazat bhi ataa farmai. Aap ne apne ghar ke aik hissay ko masjid
bana liya tha. Paanchon waqt namaz bajmaat ka ihtimaam tha. Azaan ke liye
huzoor alaihi salatoh vasalam ne aik muezzin bhi muqarrar farmaya tha. Hazrat
Umar ke zamane tak yeh imam rahen aur baqaida jamaat karati rahen.
Islam ne insani haqooq ke taayun ka aaghaz aurat ki zaat aur is ke
faraiz ko samnay rakh kar kya. Rasool
(s.a.w) betay, shohar, bhai,
baap, dost, tajir, jarnail sab kuch thay. Makhlooq ke sath har rishte mein
talluq tha. Behtareen insaan thay aur rehmat allaalmin thay.