Topics

Do Biwion Ka Shohar

Rasool  (s.a.w)  ka irshad hai :

'' Jis shakhs ki do biwiyan hon aur woh inhen insaaf nah day sakay aur kisi aik biwi ki taraf mael ho jaye. Qayamat ke din is ka hashar is haal mein ho ga ke is ka nisf dhar maflooj ho jaye ga.' '

Hazrat aisha se riwayat hai ke atba ki beti hinda ne nabi kareem (s.a.w)se arz kya :

'' Ya Rasool  (s.a.w) ! Mera shohar Abbu Sufyan bukheel aadmi hai mujhe itna kam kharch deta hai ke woh mere liye aur mere bachon ke liye kaafi nahi hota. Agar mein is ke maal se baqadar zaroorat le lon aur ae khabar nah ho to kya yeh amal jaaiz hai ?' '

Rasool  (s.a.w)  ne farmaya :

'' Shohar ke maal mein se baqadar zaroorat le kar kharch kar liya karo.' '

Hazrat Aisha farmaati hain ke Rasool  (s.a.w) ne farmaya :

'' Aurtain mardon ke liye dil pasand phool hain is phool ko masal kar barbaad nah karo.' '

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI