Topics
Aik buzurag Abdalwahd Ban Zuhad ne dua ki ke
'' Ae Allah ! Bahisht mein jo shakhs mera rafeeq ho ga usay dikha
day.' '
Hukum hua ke
''Teri rafeeq bahisht mein maimuna soda’a hai. Woh koofa mein falan
qabeeley mein hai.' '
Buzurag talaash karte hue wahan ja puhanche. Logon ne kaha ke
'' Maimuna aik dewaani hai jungle mein bakriyan churati hai.' '
Buzurag ne jungle mein dekha bhirhiye aur bakriyan aik sath phir
rahay hain. Aur aik khatoon namaz ada kar rahi hain. Jab salam phera to farmaya
'' Ae Abdalwahd! Ab jao. Milnay ka wada bahisht mein hai.' '
Buzurag ko bohat taajjub hua ke inhen mera naam kaisay maloom ho
gaya.
Kehnay lagen :
'' Tum ko maloom nahi jin roohon ko aalam baala mein jaan pehchan
ho chuki hai un mein aapas mein ulfat hoti hai.' '
Buzurag ne kaha ke
'' Mein bhirhiye aur bakriyan sath dekh raha hon. Kaisi ajeeb baat
hai.' '
Kehnay lagen :
'' Jao apna kaam karo. Mein ne apna maamla haq taala se durust kar
liya. Allah Taala ne meri bakrion ka
maamla bhirhyon ke sath durust kara diya.' '
* jin roohon ki aalam baala mein jaan pehchan ho chuki hai woh
aapas mein ulfat rakhti hain.
* jab bande ka Allah se maamla durust ho jata hai to bhirhiye aur
bakriyan sath rehtay hain.