Topics

HAZRAT MAIMUNA WAIZ (R.A)

Hazrat Maimuna ne aik din farmaya :

'' Jo kapray rizaq halal se banaye gaye hon woh puranay nahi hotay. Jo karta mein ne pehan hua hai. Meri walida ka hai.

Sentalees (47) saal se mein is ko pehan rahi hon. Jab mein yeh karta pehanti hon to mera jism lateef ho jata hai.' '

Aap ke betay Hazrat Abdalsamd se riwayat hai ke

'' Hamaray ghar ki aik deewar boseedah ho gayi thi. Mein ne walida se kaha ke is deewar ko dobarah banana chahiye. Aap ne aik kaghaz par kuch likh kar parcha deewar mein laga diya. Bees saal tak woh deewar qaim rahi. Aap ke visale ke baad mujhe khayaal guzra ke daikhon kaghaz par kya likha tha. Jaisay hi kaghaz deewar se utaara deewar gir gayi.' '

Hikmat O Daanayee

* har amal ki haqeeqat ki taraf mutwajjah hona zaroori hai.

* maday ka purastaar madiyat par yaqeen rakhta hai. Aur khuda  ka purastaar ghaib par yaqeen rakhta hai. Madah fanaa ho jata hai. Allah hamesha se hai aur hamesha rahay ga. Allah baqi mann kal faani.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI