Topics
Matmadn malik chain mein larkiyon ke peda hotay hi un ke peeron
mein lohay ke jootay pahnaye jatay they aur yeh lohay ke jootay 12,13 saal ki umar taq larkiyon ke peeron ko
shikanjay mein jakray rehtay they. Nateejay mein aurat ke paiir chhootey reh
jatay they. Aaj bhi puranay zamane ki yaad mojood hai. Aisi barri umar ki
aurtain mil jati hain jin ke paiir bohat chootey hain. Yeh sitam is liye kya
jata tha ke aurat ghar se bhaag kar kahin aur chali nah jaye.
Zamana jahliat mein aurat ko ensaan aur hewan ke darmain ki aik
makhlooq bana diya gaya tha. Jis ka kaam nasal insani ki paidaiesh aur mard ki
khidmat karna tha. Larkiyon ki paidaiesh baais zillat o ruswai thi. Peda hotay
hi larkiyon ko zindah dafan kar dena sharafat aur ifqitar ka baais tha. Har
jagah aurtain mardon ke zulm o sitam ka shikaar theen. Mard naazuk aur kamzor
sanaf ke muqablay mein darinda ban gaya tha. Chopaiyon aur dosray janwaron ki
terhan aurton ki khareed o farokht hoti thi. Mard taskeen haasil karne ke liye
aurat par jabar o tashadud karta tha.