Topics

Aik So Aik Aulia Allah Khawateen

Is aajiz bande ne Rasool  (s.a.w)  ke ataa kardah aloom ki roshni mein koshish ki hai ke aurat apne maqam ko pehchan le. Is koshish ke nateejay mein Allah Taala  ke fazl o karam se aik so aik aulia Allah khawateen ke halaat, karamaat aur kaifiyat talaash karne mein kamyaab ho gaya hon.

Yeh kehna khud farebi ke alawa  kuch nahi hai ke aurton ki salahiyat mardon se kam hai ya aurtain rohani aloom nahi seekh sakteen.

Khawateen ki zimma daari hai ke woh Allah aur is ke Rasool (a.s) Ke diye hue haqooq se waaqif honay ke liye quran kareem tarjuma ke sath parheen aur un aayton mein tfkr aur ghhor karen. Bachiyon aur baityon ko bitayen ke hamaray nijaat dahinda, hamaray shafi , hamaray mohsin aur hamaray mohtaram nabi (s.a.w) ne aurat ko ghulami se azaadi dilae hai. Ilm se aaraasta kya hai. Muashray mein hamaray haqooq mutayyan kiye hain.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI