Topics

HAZRAT AMINA RAMELIAH (R.A)

Hazrat Amina Rameliah baghdad ke aik nawahi shehar rimla mein peda huien. Bachpan hi se zaheen aur ilm haasil karne ki shoqeen theen. Jab barri huien to walida ke sath hajj ke liye Makkah muazzama gayeen. Wahan aik buzurag masjid mein dars diya karte thay. Hazrat amina un ki shagird ho gayeen. Aur un se quran aur ahadees ka ilm haasil karti rahen.

Buzurag ke intqaal ke baad Hazrat Amina Rameliah madinah munawwara aa gayeen. Madinah mein imam maalik ki shagird ban gayeen. Un se taqreeban so (100) ahadees marwi hain.

Tehseel ilm ke baad madinah munawwara se dobarah Makkah muazzama aa gayeen aur imam shafi ki shagird ho gayeen. Is waqt un ki umar 34 saal thi. Jab imam shafi misar tashreef le gaye to aap koofa chali gayeen. Hazrat Amina ne zouq o shoq se wahan ke ulama se bhi ksb faiz kya aur tamam aloom deeni mein maahir ho gayeen. Jab koofa se watan wapas ayen to un ke ilm o fazl ka charcha aur daur tak phail chuka tha. Unhon ne ilm phelanay ke liye aik madrassa qaim kya. Jahan ilm ke mutlashi log joq dar joq anay lagey. Barray barray ulama hadees, dars mein shareek hue thay.

Baghdad mein aik darwaish kaamil ki tawajah ne un ki zindagi mein inqilab barpaa kar diya. Aap ne apna maal o asbaab raah khuda  mein luta diya aur darweshana zindagi ikhtiyar kar li. Ziyada waqt ibadat ellahi aur giryaa o zaari mein mashgool rhtin.

Hazrat Amina ne paidal chal kar saat hajj kiye. Un ke zuhad o taqwa aur ibadat o riyazat ki binaa par log un ko khasan khuda  mein shumaar karte thay aur un ka had se ziyada ehtram karte thay.

Azeem al martabat walii Allah Hazrat bashrani un ki khidmat mein haazir hua karte thay. Hazrat ahmed ban hanbal bhi un ki azmat o jalalat ke mutarrif thay.

Aik dafaa Hazrat Bashr Hani  bemaar hue to Hazrat amina un ki ayadat ke liye tashreef le gayeen. Imam ahmed hanbal bhi wahan mojood thay. Unhon ne Hazrat Bashr Hani  se poocha :

'' Yeh khatoon kon hain ?' '

Bashr Hani  ne jawab diya :

'' Yeh Amina lia ram hain. Mizaaj pursi ke liye aayi hain.' '

Imam Sahib ne un ki shohrat sun rakhi thi un se mil kar bohat khush hue aur Hazrat Bashr Hani  se farmaya :

'' Un se kehye ke mere liye dua karen.' '

Hazrat Bashar ne Hazrat Amina se arz kya :

'' Yeh ahmed ban hanbal hain. Aap se dua ke khawastgah hain.' '

Hazrat Amina ne haath utha kar nihayat khashoo o khazoo se dua mangi.

'' Ae Allah ! Ahmed Ban Hanbal aur bashar dono jahannum ki aag se panah mangte hain. To sab se bara reham karne wala hai un ko is aag se mehfooz rakh.' '

Aik dafaa kisi raees ne das hazaar ashrafiaan aap ki khidmat mein paish kee. Aap ne inkaar kar diya. Jab bohat israar kya to rakh len aur munaadi kara di ke jis ko rupay ki zaroorat ho woh mujh se le jaye. Chunancha haajat mand log atay thay aur baqadar zaroorat raqam le jatay thay. Shaam tak tamam ashrafiaan khatam ho gayeen.

Hazrat Bashr Hani  farmatay hain ke Amina ka mamool tha ke poori raat se subah tak ibadat ellahi mein masroof rhtin. Aik martaba aap ne Hazrat Bashr Hani  se farmaya :

'' Ae Bashar! Mera jism sota hai lekin mera dil bedaar rehta hai.' '

Hikmat O Danayee

* walii sota hai is ka dil bedaar rehta hai.

* ilm phelanay ke har har qisam ki koshish karna farz hai

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI