Topics

BIBI HIFSA BINT SHRIN (R.A)

 

Bibi Hifsa Hazrat khwaja Mohammad sheree ki hamsheerah theen jis terhan khwaja Mohammad sheree ka shumaar apne daur ke mashhoor aulia Allah mein hota hai isi terhan Bibi hifsa bhi apne zamane ki arfaat kamila mein shumaar hoti hain. Nihayat abida aur zahida theen. Aap farmaati theen :

'' Allah Taala  ke sath rabt qaim ho jane se insaan ka dil mutmaen ho jata hai aur is ke oopar sukoon ki barish barasti rehti hai, rohaniyat mein qiyam salaat ka mafhuum yeh hai ke har haal mein aur har qaal mein Allah se talluq qaim rakha jaye. Bandah apne rab se sab se ziyada qareeb is waqt hota hai jab woh is ke huzoor sajda karta hai.' '

Aik martaba aik aurat aap ke paas aayi aur kehnay lagi :

'' Mein apne shohar ko bohat chahti hon is ki har zaroorat ka khayaal rakhti hon magar woh mujh se hamesha badgumaan rehta hai.' '

Aap ne aik alaichi par kuch parh kar dam kya aur kaha :'' Yeh alaichi apne shohar ko khula do.' ',..Alaichi khanay ke baad shohar biwi ka zan mureed ho gaya.

Bataya jata hai ke raat ko jab chairag bujh jata tha tab bhi ghar mein roshni rehti thi.

Hikmat O Danayee

* maa ki goad bachon ki sahih tarbiyat gaah hai.

* maa ke dil mein agar Allah ki azmat ho to bachon ka khud bakhud Allah se talluq qaim ho jata hai.

* sayel ko kabhi jarhko nahi, ghar mein musafir aa jaye to usay izzat o ehtram se khana khilana chahiye.

* khanay peenay ki cheeze raat ke waqt khaas tor par dhaanp kar rakhni chahiye.

* khana hamesha' ' bsm Allah al-rehman uraheem' ' parh kar khana chahiye.

* achi biwi ghar ko jannat bana deti hai.

* maa ki dua par farishtay ameeen kehte hain.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI