Topics
Lahore mein muqeem fatima khatoon silsila qadrih se munsalik theen,
asar ka waqt tha, berry ke darakht ki chouti par dhoop thi. Bibi sahibaa ne
apni chadar dhoop mein daal di aur darakht se mukhatib ho kar farmaya :
'' Ae darakht zara apni tehnyan to jhuka day taa ke mein apni
chadar sikha lon.' '
Tehnyan jhuk kar neechay aa gayeen phir wapas apni jagah chali
gayeen. Kuch der baad Hazrat mouj darya wahan tashreef laaye aur chadar ko
darakht ke oopar phela dekh kar pehlay heran phir khush hue. Bibi sahibaa se
daryaft kya ke
'' Yeh chadar darakht ke oopar kis terhan pohanchi ?' '
Bibi sahibaa ne farmaya :
'' Mein ne darakht se kaha ke shaakhen neechay kar day aur mein ne
chadar daal di. Shaakhen oopar huien to chadar bhi oopar chali gayi.' '
Hazrat mouj darya ne farmaya :
'' To phir isi terhan chadar utaar lo.' '
Bibi fatima ne darakht se kaha :
'' Ae darakht apna sir jhuka day ke mein apni chadar utaar lon.' '
Shaakhen neechay aa gayeen aur Bibi fatima ne apni chadar utaar li.
Naik aurat ke ausab bayan karte hue aap ne farmaya :
'' Dayanat daar aurat apne imaan, seerat aur ikhlaq ke baais
poooray khandan ke liye rehmat hai. Is ki zaat se koi aisi saeed rooh wujood
mein aa sakti hai jo aik aalam ke liye mashal raah ban jaye, achi aur naik
khaslat biwi mard ki islaah haal ke liye aik mo-asar zareya hai. Ho sakta hai
Allah is ke zariye mard ko aisi bhulaiyon se nawaz day jis tak mard ki pahonch
nah ho, biwi khawand ko jannat ke qareeb kar deti hai is ki qismat se duniya
mein khuda mard ko rizaq aur khushhali
se nwazta hai.
Is liye khawateen ko chahiye ke woh deen ke ehkaam aur tahazeeb
sekhen, ikhlaq husna se aarasta hon, har mumkin koshish karen ke woh achi biwi
aur achi maa saabit ho, khuda ki
farmanbardar bandi ban kar apne faraiz husn o khoobi se injaam den.' '
* ustaad ka haq kabhi faramosh nah karo.
* insaan ki zabaan is ke dil ki tarjuman hoti hai.
* har nemat par Allah ka shukar ada karna momin ki pehchan hai.
* jo makhlooq par shafqat karta hai, khaaliq kaayenaat is par
shafqat farmata hai.