Topics

BIBI ATIFA (R.A)

Hazrat Zulnun Misri ki behan Bibi Atifa nihayat sabra ,zahida aur ibadat guzaar khatoon theen. Aik din quran kareem ki aayat :

'' Aur hum ne tumahray oopar abr ka saya kar diya aur hum ne tumahray oopar mann o salwa utaara. Khao un pakeeza cheezon mein se jo hum ne tum ko day rakhi hain.' '

Parh kar Hazrat Atifa ne socha ke jab bani Israel par Allah Taala  ne mann o salwa utaara to mohammad Rasool  (s.a.w)  ki ummat is inaam se kaisay mahroom reh sakti hai. Rafta rafta yeh soch aur is qader rasikh ho gayi ke unhon ne tay kar liya ke ab khana nahi pakayen ge. Aasman se jab mann o salwa utre ga tab hi khayen gi. Jab bhook shadeed hui to Allah Taala  ne mann o salwa utaara. Jisay unhon ne khud khaya aur parosion ko bhi khilaya. Phir aik din woh ala’iq duniya ko kher abad keh kar sehraa ki janib nikal gayeen. Is ke baad un ka koi pata nah chala.

Hazrat Zulnun Misri is douran ibadat o riyazat aur rohani taleem o tarbiyat ke silsilay mein jagah jagah phirtay rahay. Kaafi arsay baad jab woh wapas ghar lautay to parosion ne Bibi Atifa ka ahwaal bataya. Aap bohat khush hue farmaya :

'' al hamdullilah! Atifa ne yaqeen ki manzil pa li hai.' '

Hikmat O Danayee

* woh duayen maqbool bargaah hoti hain jin ke sath musalsal aur pihm amal ho.

* Allah Taala  ne mayoos honay ko hukman mana farmaya hai.

* mushahida, yaqeen ko mustahkam karta hai. Shak aur waswasa se aadmi nijaat pa laita hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI