Topics
Maazi ke waqeat aur tareekhi haqayiq paish karne ka maqsad yeh hai
ke khawateen is taraf mutwajjah hon ke qudrat ne inhen barabar ke insani haqooq
ataa kiye hain. Jab hum lafz tareekh boltay hain ya likhte hain to is se mansha
yeh hota hai ke maazi ya zamana khud ko dohrataa hai. Maazi mein jis terhan
aadam aik bacha tha. Aaj bhi har aadam zaad paidaiesh ke baad bacha hota hai.
Maazi mein jis terhan' ' hawa ' ' bachi theen aaj bhi paidaiesh ke baad hawa ki
beti bachi hoti hai. Jis terhan aaj mein baap hon. Dada hon, nana hon kal mein
maazi mein dafan ho jaoon ga aur mera beta baap, dada aur nana ban jaye ga. Jis
terhan aaj aap maa hain kal aap ko bhi maazi nigal le ga aur aap ki beti maa,
dadi, nani ban jaye gi aur yeh silsila taa qayamat chalta rahay ga.