Topics

BIBI NOOR BHARI (R.A)

Aap par jazb o sulooq ki kefiyat taari rehti thi. Aloom o muarif ki baatein karti theen. Aik martaba farmaya :

'' Maa ke pait mein nah koi phal daar darakht mojood hai aur nah wahan koi doodh ya ghalla mojood hai, bacha aik qanoon, aik usool, aik zabita aik nizaam ke tehat pait ki androoni kothari mein parwarish paata rehta hai. Qudrat chahti hai ke hum qudrat ki nishanion par ghhor kar ke naiko karon ki zindagi busr karen is liye ke naiko kaari qudrat ki hussain tareen sift hai. Khaaliq ka Irfan  haasil karne ke liye khud apni zaat ka Irfan  zaroori hai. Aur apni zaat ka Irfan  yeh hai ke hum apne andar mojood Allah ke noor ka mushahida karen.

Bibi noor bhari ka ziyada tar waqt istaghraaq mein guzarta tha, jab aap ke paas koi maheman aata aur ghar mein koi cheez nah hoti to aap daigchi mein pani daal kar cholhe par rakh deti theen. Kabhi is handiya mein se umdah qisam ke pakay hue chawal nikaltay aur kabhi gosht ki khushbu phail Jati.

 

Hikmat O Danayee

* jo amal Rasool kareem (s.a.w)ne kya hai is par amal pera ho jao, jo kaam Rasool  kareem? Ne inhen kya usay chore do.

* jab kisi buzurag ki khidmat mein jao to kuch nah kuch hadia le kar jao chahay woh maachis ki aik dibiya ho.

* buzurgon ki majlis mein khamosh reh kar un ki guftagu suno, adab o ehtram malhooz rakh kar sawalaat karo taa ke majlis mein mojood log bhi un ke ilm se istifada karen.

* gungay behray ban kar nah betho aulia Allah ki majlis mein adab ke sath sawal karo.

* bachon par shafqat karo barron se mohabbat karo.

* subah shaam maa baap ko salam karo.

Bachon ko adab sikhao aur munasib waqt par inhen tohfay do.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI