Topics
Allah Taala hamein
Rasool (s.a.w) ke ikhlaq husna par amal karne ki tofeq day.
Hamari zimma daari hai ke hum seerat tayyiba ka baar baar mutalea karen.
Huzoor (s.a.w) ne jo kya hai is par amal
karen aur jo nahi kya hai usay chore den. Mard aurat dono aik dosray ka libaas
hain.
Aurat hi mard aur aurat ko janam deti hai. Aurat aur mard mein rooh
aik hai. Jab taq rooh rehti hai aadmi zindah rehta hai. Aur jab dono ya kisi
aik mein se rooh nikal jati hai to harkat khatam ho jati hai. Harkat khatam
honay ka naam mout hai.
Azizan graami qader !
Is kitaab ko tarteeb dainay ka maqsad yeh hai ke mard aur aurat ke
haqooq ki sahih akkaasi ho jaye. Aurat aur mard dono mil kar hi muashray ko
sudhaar satke hain. Hum do rukhon mein se kisi aik rukh ko moattal qarar day
den to muashra mein abtari aa jaye gi, muashra bikhar jaye ga. Har cheez darham
barham ho jaye gi. Aurat aur mard ka wujood na qabil bayan ho jaye ga.
2006 ke baad
Zameen ab apni belt ( belt ) tabdeel kar rahi hai. Do hazaar chay
ke baad is mein taizi aa jaye gi aur ikeeswen sadi mein aurat ko hukmarani ke
wasail faraham ho jayen ge.
Mardon ne taraqqi ke naam par poori nasal ko atom bomb ki bhatteoon
mein jhonk diya hai. Zameen krah rahi hai. La shaori kaifiyat se aashna log
zameen ki cheekhain sun rahay hain. Zameen aag mein bhasam hona nahi chahti.
Zameen apni kookh ujarna nahi chahti. Woh apne bachon ko khushaal aur shadan
dekhnay ki arzoo mand hai. Jab ke na shukar ensaan bazid hai ke zameen ko banjh
kar day aur zameen ko jala kar khakstar kar day. Dhuwan ghata ban kar chhaa
jaye aur zameen par aag ke sholay bisri.