Topics
Rasool (s.a.w) ko 1 shakhs ne bataya meri bachi jo mujh se
mohabbat karti thi mein ne usay kunwein mein pheink diya tha halaank woh' '
abba abba' ' pukar rahe thi. Qais ban asim ne zamana jahliat mein aath larkiyon
ko zindah dafan kya.
Arbo mein dastoor tha ke jab tak khawand zindah rehta biwi is ke
ehkaam baja latayen. Is ke marnay ke baad is ke waris usay apni waarsat mein le
letay thay. Aur kisi dosray se is ki shadi kar dete thay. Shadi kar ke mohar ki
raqam khud haasil kar letay thay. Agar bewa aurat maldaar hoti to is ki shadi
nahi honay dete thay taa ke doulat un ke qabza mein rahay. Yateem maskeen larki
ko baaligh honay tak apne paas rakhtay aur phir khud ko nikah kar letay thay.
Is mein mard ki umar ki koi qaid nahi thi.
Rasool (s.a.w) ki bassat se pehlay aurat mard ke zulm o
sitam ki chuki mein har roz pasti thi, roz jeeti thi, roz maarthi thi. Aurat ke
nan nafqa ki koi zimma daari mard par nahi thi. Mard haq waarsat se aurat ko
mahroom kar sakta tha. Jabkay khud biwi ki malkiat ka haq daar tha. Aurat khud
apni kamaai apne oopar azadana kharch karne ka haq nahi rakhti thi. Aurat ko
yeh haq haasil nahi tha ke woh shohar ka ghar chore kar chali jaye khuwa woh
kitna hi is par zulm karta ho. Qadeem europi qanoon ne aurat ko mard ki malkiat
qarar diya hai.