Topics

Bachon Ke Haqooq

Walidain ke ikhtilaaf aur alehadgi ki soorat mein mard zabardasti bachon ko apne qabzay mein kar laita hai. Lekin Syedna Huzoor aleh salatoh vasalam ke farmodat ke mutabiq bachay ki haqdaar maa hai.

'' Ya Rasool  (s.a.w) ! Mera bacha aik muddat taq mere pait mein raha aur muddat taq mera doodh peeta raha aur aik arsa taq meri goad mein palta raha. Ab is ke baap ne mujhe talaq day di aur mere bachay ko chean lainay ka iradah rakhta hai.' '

Aap (s.a.w) ne farmaya :

'' Jab taq tum dosra nikah nah kar lau tum is ko apne paas rakho. Tum bachay ki haqdaar ho.' '

Hazrat Abu-Hurera farmatay hain ke aik aurat Huzoor  (s.a.w) ki khidmat mein haazir hui aur arz kya :

'' Mere khawand ne mujhe talaq day di. Ab woh chahta hai ke mere larke ko apne paas rakhay aur is waqt yahi larka mujh ko kama kar khelata hai aur mere khanay peenay ki khabar gary karta hai.' '

Aap (s.a.w) ne is larke se mukhatib ho kar farmaya :

'' Yeh tumhara baap hai aur yeh tumhari maa hai. Ab tumhe ikhtiyar hai chahay apni maa ke paas raho ya baap ke paas.' '

Larka baaligh tha. Is ne apni maa ka haath pakar liya.

( sunan abi dawod, sunai,darmi)

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI