Topics
Islam anay se qabal arab be shumaar ikhlaqi buraiyon ka markaz tha.
Jis terhan duniya ke dosray khitton mein aurat ki haalat badter thi isi terhan
arab mein bhi aurat mzlomit ki paiker thi. Arbo ne asbaat ko faramosh kar diya
tha ke aurat ke bhi kuch haqooq hain.
Aurat har mard ki maa hai. Aurat ke seenay mein bhi dil hai jo
achay sulooq se khush aur buray sulooq se ranjida hota hai.
Aurat ki zindagi ka maqsad sirf yeh tha ke woh mard ki itaat kere.
Mard ki mojoodgi mein aurat ka baithna mamnoo tha woh khari rehti thi. Mard ke
samnay apni raye ka izhaar nahi kar sakti thi mamooli sa qasoor mojab qatal ban
jata tha.