Topics
Hazrat Bibi Pak Damanah chay behnain theen. Jin ke naam yeh hain.
Bibi haaji, Bibi taaj, Bibi noor, Bibi gohar aur Bibi shehnaz. Yeh behnain aik
khuda parast abid o zahid walii Allah
saeed ahmed noshir ki betiyan theen. Yeh sab abida o zahida behnain ilm deen
mein kamaal rakhti theen.
Ibadat ke liye aik hujra makhsoos kar rakha tha jis mein shab
baydaari kya karti theen, ghar mein kaam karne walay aksar yeh manzar dekhte
they ke hujray mein doodhiya rang ki roshni phaily hui hai aur roshiniyon ke
saaye idhar idhar atay jatay hain.
Un Bibi sahiban ki barket se bohat se log musharraf bah islam hue.
Jab yeh khabar lahore ke haakim taq pohanchi to woh pareshan ho gaya aur apne
larke ko hukum diya ke un ke paas ja kar kahe ke mere malik se nikal jayen. Jab
larka un ki khidmat mein haazir hua to woh bhi un ka mureed hogaya. Bibi haaji
sahibaa ne is ka naam sheikh jamal rakha. Sheikh jamal un ke paas hi thehr
gaya.
Jab punjab mein lashkar kashi hui to shehar lahore ko bhi taaraaj
kar diya. Un bibieuo khuda se iltija ki
ke hamein na mehrmaou ki dast bard se mehfooz rakh, hamein zameen mein pewand
kar day chunancha aisa hi hua zameen phatt gayi aur yeh chay bibeyaan zameen
mein sama gayeen. Un bibieuo ke mazaar aaj bhi lahore mein mojood hain.