Topics

BIBI FATIMA BINT-E AL MASNI(S.A.W)

Ibn Arabi kehte hain ke mein ne salhasal Hazrat Fatima ki khidmat ki hai. Un ki umar pichanway (95) saal se ziyada thi lekin mujhe un ki taraf dekhnay se sharam mehsoos hoti thi kyunkay chehray ki tar-o-tazgi ke baais woh khubaru jawan nazar aati theen. Aik martaba ibn arabi se mukhatib ho kar farmaya :

'' Log khuda ki mohabbat ka daawa karte hain aur rotay phirtay hain. Allah ki qurbat aur mohabbat to yeh hai ke woh jis haal mein rakhay bandah khush rahay.' '

Aik din aik aurat aap ki khidmat mein haazir hui aur arz kya :

'' Mera shohar dosray shehar mein hai. Mujhe dar hai ke woh dosra nikah nah kar le. Aap dua karen ke woh yahan aa jaye.' '

Bibi Fatima ne kaha :

'' Bohat acha.' ' aur yeh keh kar' ' surah fatiha ' ' padni shuru ki. Ibn arabi bhi wahein mojood they. Kehte hain ke aik rooh un ke samnay aayi. Bibi fatima ne is se mukhatib ho kar farmaya :

'' Is aurat ka khawand le aa.' '

Kuch arsay ke baad woh shakhs aa gaya. Aurat khusi khusi aap ke paas aayi aur shohar ke aa jaane ki khushkhabri sunai.

Aap ne usay nasiyaat karte hue farmaya :

'' Shohar pardes se aeye to mizaaj pucho. Kheriyat daryaft karo ke wahan kis terhan rahay. Haath mun dhonay ke liye pani do. Khanay ka bandobast karo. Garmi ka mausam ho to pankha jhalo. Gharz is ki raahat aur aaraam ki baatein karo.' '

Bibi Fatima ne aurat se poocha :

'' Tumahray saas sasur hain. Kya sath rehtay hain ?' '

Aurat ne kaha :

'' Jee haan! Saas sasur mere sath rehtay hain.' '

Farmaya :

'' Jab taq saas sasur zindah rahen un ki khidmat karo. Jab tum saas bano gi to qudrat baho se tumhari khidmat kir a gi. Buzurgon se adab lehaaz rakho. Choton par meharbani aur barron ka adab kya karo.' '

Hikmat O Danayee

* Allah se mohabbat yeh hai ke woh jis haal mein rakhay bandah khush rahay.

* Allah se mohabbat rakhnay walay rotay nahi hain. Raazi bah raza rehtay hain.

* aadmi jab duniya se mohabbat aur mout se nafrat karna chore deta hai to usay itminan qalb haasil hota hai. Aur dozakh is ke qareeb bani aati.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI