Topics

Aurat Ka Kirdaar

Tareekh batati hai ke maazi mein zameen par maadri nizaam qaim tha. Is amal ko ikeeswen sadi duhraey gi aur muashray par maadri nizaam phir ghalib aa jaye ga aur yeh zamana aurton ka zamana ho ga. Is ki ibtida is waqt se shuru ho gayi hai jab se islam ne aurton ke haqooq ka taayun kar diya hai aur aakhri nabi (s.a.w) ne aakhri kitaab quran kareem aur ahadees mein aurton ke haqooq ko tafsilan bayan farma diya hai.

Rasool  (s.a.w)  ne muashray mein bewa aurton ke haqooq ki nighdasht aur bahaali ka hukum diya hai.

Aik roz aurton ne Rasool  (s.a.w)  ki khidmat mein arz kya :

'' Ya Rasool  (s.a.w) ! Aap ke paas mardon ka hajhoom rehta hai aap hamaray liye waqt muqarrar farma dijiye.' '

Rasool  (s.a.w)  ne is darkhwast ko sharf qabuliat bakhsha aur khawateen ke liye aik din muqarrar kar diya.

Aik safar mein Aap (s.a.w) ki zoja mohtarma Hazrat safia Aap (s.a.w) ke sath theen. Jab woh sawaar honay lgtin to Aap (s.a.w) apna ghatna agay barha dete aur zoja mohtarma ghatney par paiir rakh kar sawaar ho jatein.

Hazrat aisha ki barri behan Hazrat asma aik roz khajoor ki khutileoun ki potli sir par rakhay hue aa rahi theen. Rasool  (s.a.w)  oont par sawaar idhar se guzray to Aap (s.a.w) oont se utar aaye. Hazrat asma ko oont par sawaar kar diya aur khud paidal ghar tashreef le gaye.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI