Topics

BIBI JAMAL KHATOON (R.A)

Bibi jamal khatoon Hazrat miyan meer ki behan theen. Bibi jamal khatoon ko silsila qadrih se faiz haasil hua, inhen rabia sani kaha jata hai.

Zuhad o taqwa aur rohani zehen virsa mein mila. Un ki walida bhi rohaniyat mein barray darja par faiz theen. Har waqt zikar o fikar mein mashgool rehna un ka mamool tha. Bibi jamal khatoon ne apni walida ka zehen qubool kya is liye un ke oopar rohani rastay jald khil gaye. Un ke bhai miyan meer ne bhi bharpoor tawajah di, rohani asbaq taleem kiye jis se aap ka rohani safar taizi se tay hua, Bibi jamal ki tabiyat mein gosha nasheeni thi. Kabhi seosatan se  bahar nahi gayeen.

Bibi sahibaa logon ko khana khula kar bohat khush hoti theen. Langar ka ihtimaam rehta tha aur kaseer tadaad mein log khana khatay thay. Jab khana tayyar ho jata tha to khud apne haath se nikaal kar ibtida karti theen aur sath yeh bhi farmaati theen ke

'' Jo bhi aaye usay khilaya jaye, koi bhooka nah jaye, insha Allah sab ke liye poora ho jaye ga.' '

Chunancha aisa hi hota tha aur log sair ho kar khatay thay.

Aik martaba aap ne do mann gheehon apne haath se mashko mein rakhay. Rozana un mein se gheehon nikaal kar haajat mandoon mein taqseem karti theen. Aik saal guzarnay ke baad bhi mtke khaali nahi hue.

Aik din Bibi sahibaa par khaas kefiyat taari thi is douran aik khushk machhli aap ke samnay layi gayi. Aap ne machhli ko dekhte hi farmaya

'' Is machhli ko sambhaal kar rakho is machhli mein barket hai.' '

Logon ne is khushk machhli ko sambhaal kar rakh liya jab tak yeh machhli mojood rahi khoob barket hui.

Hikmat O Danayee

* mauqa ki munasbat se agay anay walay log kamyaab rehtay hain.

* tawakkal yeh hai ke khushi aur pareshani dono mein insaan Allah ka shukar ada kere.

* noor firasat se sochnay wala bandah Allah ka deedar kar laita hai.

* chalaak tabiyat insaan resham ke keeray ki terhan apne khoal mein band ho jata hai.

* naik khwahisaat rakhna sakhavat hai.

* shukriya hai ke har haal mein khush rahay.

* jahan tak mumkin ho Allah se duniya kam mango aur akhirat ki fikar karo.

* kisi se gharz nah rakho sab mein mumtaz ho jao ge.

Pait bhar kar khanay wala ibadat se daur ho jata hai.

Allah ki mohabbat khashoo se peda hoti hai.

* kam goi khud hifazati ke liye aik qilah hai.

Sir ko jhuknay aur dil ko sochnay ki aadat daalo.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI