Topics
Hindostan ke aksar sobon mein dastoor tha ke aurton ko mandir ki
pasbani ke liye waqf kar diya jata tha. Woh bzahir pak daman aur muqaddas theen
lekin dur parda bihchroun mahtamou aur yatrion ka un ke sath acha sulooq nahi
tha. Mandir mein devtaon ke samnay aurat ki qurbani ki jati thi.
Jab koi shakhs karzz daar ho jata tha to karzz ki adaigi mein apni
biwi ko day diya karta tha. Aur jab raqam ada ho jati thi to aurat ko wapas le
aata tha. Raje mharaje juye mein apni biwion ko haar jatay they.
( tareekh hind. Musanifa. Pandit radha krishan )
Hindostan ke sobon mewat, rajpot aur marwarh mein aurton ki haalat
itni buri thi ke tazkara karte hue sharam aati hai. Marwarh ke aik khandan mein
chaar bhaiyon ki aik hi biwi thi.
Hinduo ke aik barray buzurag ka qoul hai ke aag ke sharare aur
zahreela saanp yaqeenan ensaan ke dushman hain lekin aurat un sab se barh kar
dushman hai. Aik samjhd ar aadmi holnaak selaab se bach sakta hai aur zahreeley
saanp ke katay ka ilaaj kara sakta hai lekin aurat ki chalaki aur ayyari se
bachna mahaal hai. Aurat is qabil nahi ke is par bharosa kya jaye aur is ko
raaz daar banaya jaye.
Hindostan mein bewa aurat doosri shadi nahi kar sakti thi. Bachpan
mein hi larkiyon ki shadi kar di jati thi. Rukhsati se qabal agar shohar mar
jata to larki saari umar bewa ban kar zindagi guzaarne par majaboor thi. Bewa
hona bad naseebi ki alamat qarar day di gayi thi. Bistar par aur charpayee par
sonay ki ijazat nahi thi. Khana baghair namak mirch ka sirf' ' pani ka shorba'
' hota tha. Zewar aur rangeen kapray pehnana aur khusbhoo lagana mamnoo tha.
Ehad wasti mein bewa ke balon ko mondh diya jata tha aur martay dam taq woh sir
par astra phiruni par majaboor thi.