Topics
Mohtaram khawateen !
Aap ko Allah ke mehboob aakhri nabi (s.a.w) ne zulm o sitam ki
chuki mein pisnay se bachaaya hai. Aap ke oopar farz hai ke aap dunyawi taleem
ke sath sath dainee aur rohani aloom sekhen. Apni rooh ka taaruf haasil karen.
Rooh mein woh sab' ' makhfi' ' zahir hai jis se aadmi ensaan ban jata hai.
Ahsen taqweem , ensaan ashraf almkhloqat is waqt hai jab woh apni
rooh se waaqif ho. Allah aur is ke Rasool
ka hukum bardaar ho. Jab bandah apni asal yani rooh se waaqif ho jata
hai to is ke andar adal o insaaf, reham o karam, barabari, masawaat aur insaaf
o adal ke sath haqooq ki taqseem ka hosla peda ho jata hai.
Aurat aur mard dono Allah ki takhleeq hain. Jis terhan koi mard
rohani aloom haasil kar ke Allah ka arif ban jata hai. Isi terhan har aurat
tazkia nafs se noor ali noor' ' arifa ' ' ban jati hai. Allah ki dost ban kar
khauf aur gham se nijaat haasil kar layte hai.