Topics
Maai jannat khuddar buzurag khatoon theen. Jab duniya neend ki
agosh mein chali jati to bistar se uth jatein. Dil soaz aawaz mein hamd o sana
bayan kar ke kehtain :
'' Ae mere mehboob! Mein teri raah mein baithi hon, teri mohabbat
ki roshni mere dil mein phail rahi hai kya iss par bhi to mujhe qurb ataa nahi
kere ga, nahi nahi ae mere Allah ! Ae mere mehboob aisa nah karna.' '
Maai jannat aik martaba kahin se aa rahi theen ke aik sahib miley
poocha :
'' Kahan se aa rahi ho ?' '
Jawab diya :' ' Allah ki taraf se.' '
Sahib ne phir poocha :' ' kahan ja rahi ho ?' '
Maai sahibaa ne kaha :' ' Allah ki taraf.' '
Sahib ne kuch raqam paish ki, maai jannat ne un ke mun par thapar
maar diya. Bolein :
'' Allah ki jo soorat to ne apne dil mein bana rakhi hai woh teri
kam aqli par dalalat karti hai, mein Allah hi ke liye zindah hon jis terhan
mein is ki bandagi mein kisi ko shareek nahi karti isi terhan is ke siwa kisi
se kuch nahi maangti.' '
Aap ne khawab mein jannat dekhi. Subah is ka ahwaal is terhan bayan
kya :
'' Mein ghoray par sawaar jannat mein daakhil hui to saat hurron ne
mera istaqbaal kya woh mujhe neher par le gayeen, ghusal karaya aur jannat ka
libaas aur zewar pehnaya. Mein ne aaina dekha to mere maathey par do chaand
sajay hue thay, kaha gaya ke aik chaand hurron ka husn hai aur dosra rohaniyat
mein kamyabi ka chaand hai. Aik farishta zahir hua aur is ne kaha ke mere paron
par sawaar ho jao. Mein farishtay ke dayen par ke oopar baith gayi. Farishtay
ne mujhe jannat ke aala maqam pa utaar diya. Yahan koi nahi tha. Mein kaafi der
tak ghhoomti rahi. Yakayak Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz tashreef laaye. Unhon ne
mujhe feroza ki angothi pahnai phir Hazrat dataa sahib, laal shahbaz qalandar
aur Hazrat shams tabraiz tashreef laaye aur phoolon ka haar mere gilaay mein
daal diya. Is khawab ke baad se aap maai jannat ke naam se mashhoor ho gayeen.
* ae mere mehboob! Mein teri raah mein baithi hon, teri mohabbat ki
roshni mere dil mein phail rahi hai.
* dil Allah ka ghar hai is ko roshan rakho.
* mairaaj ki raat Allah Taala
ne apne mehboob bande Rasool
(s.a.w) se jo dil chaha baatein
kee aur farmaya :' ' dil ne jo dekha jhoot
Nahi dekha.' '
* kahan se aa rahi ho ?' ' Allah ki taraf se.' '
Kahan ja rahi ho ?' ' Allah ki taraf.' '
* aadmi ne Allah ki jo soorat apne dil mein bana rakhi hai woh kam
aqli par dalalat karti hai.
* mein Allah ke liye zindah rahon aur Allah se hi maangti hon.
* zahiri aur baatini husn yeh hai ke takaleef par sabr kya jaye.
* shukar ko apna shoaar bana lo shukar karne walay bande bohat kam
hain.
* aik farishta zahir hua is ne kaha. Mere paron par sawaar ho jao.
Mein farishtay ke aik par ke oopar baith gayi. Farishtay ne mujhe jannat ke
aala maqam par utaar diya.
* hurron ne mujhe jannat ka libaas pehnaya. Mein
ne aaina dekha ke mere maathey par do chaand thay. Aik hurron ka husn aur dosra
rohaniyat mein kamyabi ka chaand.