Topics

BIBI UUMM HAROON (R.A)

Bibi Umm Haroon ko raat ki tareqi mein apne khaaliq o maalik ki ibadat karne mein khaas lutaf haasil hota tha. Jab sabidoh sehri namodaar hota to farmatein:

'' Haae doori ho gayi. '

Matlab yeh ke raat ki tareqi mein apne khaaliq ki ibadat karne mein jo lutaf haasil hota hai woh din ke waqt nahi hota.

Aap ke baal bohat khobsorat aur la nabia thay is qader chamak daar aur mulaem thay ke khawateen rashk karti theen. Kisi ne poocha! Aap ke balon ke husn mein kya raaz makhfi hai. Farmaya :

'' Allah mujhe pasand karta hai meri har cheez khobsorat ban gayi hai.' '

Mard hazraat aur khawateen barri tadaad mein aap se faiz haasil karte. Jab khawateen apni rohani kaifiyat inhen batati theen to nihayat tawajah se sunthee theen aur un ki rahnumai farmaati theen. Bohat barri tadaad mein mard aur khawateen un ke shagird thay.

Hikmat O Danayee

* raat ko ibadat mein jo lutaf aata hai woh din mein nahi aata.

* Allah jis ko pasand karta hai woh khoubsurti ka paiker ban jata hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI