Topics
Ab yeh umeed bhi baqi nahi rahi ke aadam zaad apne wehshat naak
ravayye mein tabdeeli kere ga. Allah Taala
ka qanoon hai ke jab koi qoum apni haalat tabdeel nahi karti to Allah
Taala is ko is ke haal par chore deta
hai.
Allah raheem o kareem hai. Qudrat aurat ko iqtidaar mein lana
chahti hai. Ho sakta hai ke meri baton ko mjzob ki barr samgha jaye. Mein aik
rohani bandah hon. Har roz do gaz zameen mujhe aawaz deti hai. To kahan hai ?
Mein bhi bakhushi pewand khaak honay ka muntazir hon. Lekin meri
aik khwahish hai ke meri betiyan, behnain, bahoein aur mere bachay apni
khudadad salahiyaton ka idraak karen. Allah ki rassi ko muttahid ho kar
mazbooti ke sath pakar len aur Allah ki pasand ke mutabiq muashray ki tashkeel
karen aur apni maa zameen ki maang mein sindoor bhar den taa ke duniya aman o
aashtee ka gehwaara ban jaye.
Mere oopar Allah ka yeh karam hai ke mein ne jo kuch likha
khawateen o hazraat ne usay qubool kya. Nazriya rang o noor se istifada kar ke
anbia ki tarz fikar aam karne mein har har qadam par is aajiz bande ke sath
taawun kya. Mein aap sab ka mamnon karam hon. Shukar guzaar hon. Aap se
mughfirat ki dua ka talabb gaar hon.
Allah Taala ka irshad hai :
'' Allah mard o zan ki rigg o jaan se ziyada qareeb hai.' '
'' Allah ibtida hai, Allah intahaa hai. Allah zahir hai Allah batin
hai.' '
Allah Taala farmatay hain.
'' Jo log mere liye jad-o-jehad karte hain. Mein un ke oopar
hadaayat o rahnumai ke darwazay kho l- deta hon.' '