Topics
Riazatoon aur mjahdon mein kamaal haasil tha. Namaz tohjdse fajar
ki namaz taq muraqba karti theen. Muraqba mein dekha. Maadi jism lehron mein
tabdeel ho kar kaayenaat mein phail gaya hai. Takhleeq mein roshiniyon ka amal
dakhal hai koi takhleeq roshni ke tane banay ke baghair nahi hai.
Aik martaba un ka beta pani mein doob gaya shore mach gaya ke larka
mar gaya hai. Log un ko sabr ki talqeen karne lagey. Unhon ne kaha ke mera beta
nahi dooba. Darya ki taraf ja ke betay ko aawaz di :
'' Ae betay !' '
Betay ne jawab diya :
'' Jee amma.' '
Aur pani se zindah nikal aaya. Betay ko pyar kya aur logon se kaha
:
'' Jo museebat anay wali hoti hai Allah is ki khabar pehlay se
mujhe day deta hai, betay ke doobnay ki khabar nahi di gayi thi is liye mein ne
is ke marnay ka yaqeen nahi kya.' '
* iraday mein yaqeen ki roshniyan shaamil honay se iraday par amal
daraamad ho jata hai.