Topics

BIBI DAMN (R.A)

Bibi Damn  paband som o salaat, naik seerat o buland kirdaar khatoon theen. Bargaah ayzdi mein un ki duayen qubool hoti theen.

Aik martaba kunvey mein bacha gir gaya. Ghar mein koi nikaalte wala nahi tha. Is ki maa aap ke paas aayi aur rotay hue kaha.

'' Mere bachay ko bacha lijiye.' '

Aap ne kaha :

'' Allah ki zaat par bharosa rakho wohi paln haar hai.' '

Kaafi der baad bachay ko kunvey se bahar nikala gaya, pait se pani nikala gaya to is ki tabiyat sambhal gayi. Bachay ko jab hosh aaya to is se poocha ke tum kunvey mein kaisay giray thay ?

Bachay ne kaha. Yeh to mujhe yaad nahi lekin kunvey mein aik amma jee mujhe goad mein liye baithi rahen.

Maa jab bachay ko le kar Bibi Damn  ke paas pohanchi to bacha zor zor se kehnay laga.

'' Yahi woh amma jee hain.' '

Hikmat O Danayee

* Allah Taala  ki makhlooq ki khidmat ko apna maqsad bana len aur jis terhan bhi mumkin ho aadam o hawa ke rishte se apne behan bhaiyon ki khidmat karen.

* rohani taraqqi aur Allah ki mohabbat haasil karne ka behtareen zareya makhlooq ki khidmat hai.

Topics


101 AULIA ALLAH KHAWATEEN (Roman)

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI