Topics
Qalandar baba aulia ne quran pak aur ibtidayi taleem mohalla ke maktab mein
haasil ki. Kehte hain ke honahaar poot ke paon paalne mein nazar aajate hain. Chunancha
Qalandar baba aulia bachpan hi se intahi zaheen, baa adab, khaleeq aur
milansaar they aur achay buray ki tameez rakhtay they. Parhnay ke waqt nihayat
tavajja se parhte aur sathiyon ke sath mohabbat aur sulooq se paish atay they .
Qalandar Baba Aulia Ne Ibtidayi Taleem khorja Mein Haasil Karne Ke Baad High
School Taq Buland Shehar Mein Parha Aur Phir Inter ( Inter ) Mein Dakhla Ali Garh
Muslim University Mein Liya .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .