Topics

Laal Shahbaz Qalandar

Aik martaba mein ne huzoor sahib ki khidmat mein arz kya, “mera dil chahta hai ke mein sihon shareef ho aon.” farmaya, “abhi thehr jao.” mukhtasir yeh ke Laal Shahbaz Qalandar ke mazaar par jany ki khwahish aik taqaza ban gayi aur mein be chain o be qarar rehne laga. Jab bhi jany ki ijazat chahta, Baba Sahib yahi farmatay' ' abhi thehr jao “aik hafta ya kuch din guzar gaye to sihon shareef pounchanay ki khwahish deewangi ki shakal ikhtiyar kar gayi. Aik roz bandar road se bas mein sawaar hokar naazim abad inquiry bas stop par utra to dekha ke foot path par Laal Shahbaz Qalandar kharray hue hain. Mein ne salam ke baad musafah ke liye haath badhaya to Qalandar sahib ne musafah karne ke bajaye haath ke isharay se mujhe mana kardiya aur farmaya,” tum hamein bohat yaad kar rahay they. Hum khud hi tumahray paas aagaye. “taqreeban aadh ghantay taq woh mere paas rahay aur phir tashreef le gaye .

Topics


Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Aisa ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay, yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .