Topics

Baet

1956 mein silsila Soharwardia ke buzurag qutub irshad hazrat ۱Abu Fayz Qalandar Ali soherwerdi Karachi tashreef laaye. Huzoor Baba Sahib un ki khidmat mein haazir

_____________________________________________________________________

Hazrat Qalandar  Ali soherwerdi ka mazaar shareef Lahore ( hanjrwal ) mein waqay hai .

 

hue aur baet haasil karne ki darkhwast paish ki. Hazrat abbu Fayz Qalandar  Ali soherwerdi ne farmaya ke raat ko teen bujey aao. Sakht sardi ka aalam tha ke huzoor Baba Sahib grand hotel, miklod road ki seerihoon par raat ke do bujey jaakar baith gaye. Aur theek teen bujey Soherwerdi buzurag ne darwaaza khoola aur andar blalya. Samnay bitha kar huzoor Baba Sahib ki Peshani mubarak par teen phonken marain. Pehli phoonk mein aalam arwah munkashif hogaya. Doosri phoonk mein aalam malqoot o Jabroot samnay agaya aur teesri phoonk mein huzoor Baba Sahib ne arsh mualla ka mushahida kya .



Topics


Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Aisa ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay, yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .